kitnay barson baad

kitnay barson baad tau baat ho rahi hai

pas wo nahin lekin roz mulaqat ho rahi hai

sulag rahay hain khud agahi ki dupahar mein

Yarab yeh kiya surat-i-halaat ho rahi hai

Mein saray girtay lamhay samayt raha hun

mudaat baad aap kee nazr-i-ultafat ho rahi hai

kuch tau waisay bhee taqdeer ka kamal tha

Aur kuch yeh waraftagee bais jazbat ho rahi hai

ujalay hamay be-had hairan kar rahay hain

ham samjh bathay thay ke raat ho rahi hai

Dasht ki dhoop mein jal rahay hain hum

aur rooh mein sukhan ki barsaat ho rahi hai

yeh ishq tujhey nai zindagee bakhsh raha hai

hamaree namoo bhee teray saath ho rahi hai

tahaya-i-firaq ab pathar pe likh chuka hain hum

Main poochta hun, ye kiya mohabat ho rahi hai

roz mangtay hain ham qata taluq kee duaan

aur tamana-i-wasl bhee sath sath ho rahi hai

jabke mit jaoon ga ae meray khaliq maujood

kiyon apnay pe aj yeh malamat ho rahi hai

woh bar bar gira raha hai apnee nazaron se

aakhir mujh pe kiyon yeh inayat ho rahi hai

Leave a Reply